Monday, October 20, 2008

For the Spirit of EPTAF

jahan dharti aasman mil jayen,
chalo aesa kshitij banyen.
jahan khuli hava mein saan le saken,
jahan kaam kar sakein bina thake.
jahan chehre par muskaan rahe,
har kaam mein sab ki lagan lage.
jahan aazadi ho khoj ki,
jahan baat ho har roz ki.
jahan seekhne mein khel ho,
aur khel mein seekhna.
jahan sawaal hon bahut saare,
un ke jawabon ko khojana.
jahan bandhan naa koi baandhe,
aazad khyaalon ko pehechane.
bandh jaayen hum ik rishte mein,
har ek se kuchh na kuchh seekhen.
jahan jeevan ho unmukt gagan sa,
chalo ik aesa sansaar banayen.

No comments: